Woh kehne lagi....
"40 baras ki hon..,
Meri khubsurati ab mand padh gayi hai."
Maine kaha :
"Kya tumne kabhi ye suna hai..?
Ke rafta rafta soney (GOLD) ki qeemat ghati ho?
Kya tumne kabhi koyi purani painting dekhi hai..?
Jo waqt ke sath sath...
Aur zyada qadardaan na paayi ho?
Ye 40 baras..,
Meri jaan e jaan...
Tumhari dilkashi ko aur bhi hairat angeez
aur jaduwi bana diye hain.
Tum...!
Tum to waisi hi darkhashan ho.
Jaise arbon ki azeem tareekh.
Tumhari khubsurati ka zawal mumkin nahin.
Kyun ke tumhare husan ki pusht par..
Hazaron wajuhat hain.
Jo isse jadwan rakhti hain...
...وہ کہنے لگی
:میں نے کہا
Social Plugin