Main tumhari zaat se anjan hoon
Meri aankhein tumhein kabhi dekh nahi paayi.
Mere hath kabhi tumhein chhoo nahi paaye
Mere labon ne kabhi tumhein chooma nahin.
Lekin phir bhi...
Tumhara aks,
Mere zahen mein hai.
Tumhhare honton ke zayaqe se main aashna hon.
Tumhari aankhon ki chamak main jaanta hoon.
Tumhari zulf ka main aseer hon.
Tumhari jism ki khushboo se main waqif hon.
Tumhari saanson ki mahek mein mehsoos kar sakta hon.
Aur tmhare badan ke saare til maine gin rakhe hain.
Yaqeen mano...
Tumhare takiye par reh jaane wale baal aksar,
Subah mere bistar se milte hain.
Social Plugin